Wednesday, April 1, 2009

PGPM from GLIM - One and only....

Haan haan I knw, I write very bad. But who the hell ask you to read this...
This is the ONLY piece of work I happen to write during this PGPM. I knw this is not of publishable quality; tabhi to yahan chipkayi hain DHAKKAN....


Date: July 28, 2008

 

ZINDAGI KA SAFAR

 

Zindagi ka safar Hai ye kaisa safar, Koi samjha nahi Koi jaana nahi

Ek shama jal gayi Ek shama bujh gayi, Roop badla magar Koi jaana nahi

                                                                                     

Raah mein thi mili, Saikdon manzilen

Phir bhi dil ne kaha Tu abhi door hai

Main ruka tha kahin, pal do pal k liye

Tujh se mil na saka yehi Dastoor hai

Meri kashti yuhin Dagmagaati rahi,

Koi samjha nahi koi jaana nahi

Zindagi ka safar hai ye kaisa……………………………!!!

 

Jab mile the kahin, Raah mein tum mujhe

Main bhi rook na saka Tum bhi magroor the

Dil dhadkte rahe Aankein mil na saki

Main bhi majboor tha Tum bhi majboor the

Mil gaya SAB magar, Kya mila hai mujhe,

Koi samjha nahi koi jaana nahi

Ek shama jal gayi Ek shama bujh gayi, Roop badla magar……………!!!

 

Zindagi ka safar, hai ye kaisa safar……………!!!


Chalo ab wah wah karo....!!!

No comments:

Post a Comment